Haadso Ke Shehar Mein Haadso Se Darta Hai
Mitti Ka Khilona hai Fanaa Hone Se Darta Hai
Mere Dil k kisi kone mein Ek Masoom Sa Bacha
Bado ki dekh k ye Duniya Bada Hone se Darta Hai


_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*
Mushkil Raahon Mein Bhi Aasan Safar Lagta hai
Shayad Ye Meri Maa Ki Duauo ka Asar Lagta hai

_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*

Naa Jaane Kaun Sa Haadsa Akhbaar Mein Aa Jaaye
Naa Jaane Kaun Sa Sikka Baazar Mein Aa Jaaye
Arrey Chor Uchakko K Saath Bhi Dosti Karlo Yaaro

 

Na Jaane Kaun Kal Sarkar Mein Aa Jaaye

_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye
Jaise Bhi Ho Ye Mausam Badalna Chahiye
Aur Jo Chehre Roz Badalte hai Naqabo Ki Tarah
Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye

No comments:

Post a Comment